Mobile se PF Kaise withdraw kre

Mobile se PF Kaise withdraw kare

2 minutes mein apne mobile se PF kaise nikale: Dosto, ab PF walo ko apne PF fund ko nikalwane ke liye bahut hi aasani hogi kyunki hum aapko batayenge kaise aap apne PF ke paise ko ghar baithe apne hi mobile se aasani se 2 minutes mein nikal sakte hain.

Dosto, aap apni mobile se PF ka paisa check kar sakte hain, private karmachariyon ke ab PF ke paise se sambandhit jaankariya EPFO ke jariye aur bhi aasan ho gayi hai. Isliye ab aasani se aap PF ka balance check kar sakte hain aur passbook download kar sakte hain aur iske jariye aasani se final PF aur pension nikal sakte hain.

2 Minutes Mein Apne Mobile Se Pf Kaise Nikale?

Agar aap bhi apne PF ke paise nikalwana chahte hain to hum aapko iski poori prakriya batayenge ki kaise aap apne Android mobile ke Play Store se Umang app download karke aasani se apne PF ka paisa nikal sakte hain. To aaiye jaante hain ki kaise aap apne mobile se PF ka paisa nikal sakte hain. Iski poori prakriya hum is article ke madhyam se batayenge, iske liye niche diye gaye steps ko aap follow kare:

2 Minutes Mein Apne Mobile Se Pf Ke Liye Aavedan Prakriya:

  • Agar aap bhi PF ke liye aavedan karna chahte hain, to sabse pehle apne mobile ke Play Store se Umang app ko download karein.
  • Ab is Umang app se MPIN ya OTP ke jariye login karein.
  • Iske baad aap Umang app ke search box mein “EPFO” ka chinh dikhayi dega, use select karein.
  • Iske baad aapko is app mein se “Employee Centric” ko select karna hai.
  • Iske baad aapko khule hue page mein “Raise Claim” ko select karna hai (Agar aapko poora PF nikalna hai to aapko Raise Claim ke daahini taraf select karna hai, aur agar aapko sirf PF ka form chahiye to aapko bilkul bai taraf select karna hai).
  • Ab aapke saamne ek login box khul jayega jismein aapko apna UAN number daalna hai, aur iske niche “Get OTP” OTP par select karna hai.
  • Iske baad aapke registered mobile number par ek OTP aayega, use aapko khali box mein bharke “Submit” par click karna hai.
  • Iske baad aapki saari jaankari aapke saamne aa jayegi, jaise UAN number, karmachari ka naam, pitaji ya pati ka naam, janm tithi, mobile number, Aadhaar number, PAN number, bank aur branch ka naam, bank branch ka IFSC code.
  • Iske baad aapko apna bank account number daalna hai jo bank account number aapke EPF account se juda hua ho.
  • Iske baad aapko “NEXT” ke button ko select karna hai.
  • Iske baad aapko apna antim EPF number dikhaya jayega, iske baad aapko phir se “NEXT” ke button ko select karna hai.
  • Iske baad aapke saamne 2 prakar ke options dikhenge, “Form 19” aur “Form 10C“, jisse aapko “Form 19” ko choose karna hai.
  • Iske baad thoda neeche jaane par aapke saamne 2 options aayenge, “Upload Bank Account Copy” aur “Form 15G ya Form 15H” option dikhenge.
  • Ab aapko “Get Aadhaar OTP” ka option dikhaya jayega, use aapko select karna hai.
  • Ab mobile number par aaye OTP ko khali box mein bharke “Submit” ke button ko select karna hai.

Saransh

Is prakar aapke PF nikalne ki aavedan ki prakriya poori ho jayegi. Iske baad aapko ek Claim Reference Number (CRN) mil jayega, aur phir aap CRN number ki madad se aap apne claim par hui prakriya ka status ya update jaan sakte hain.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *