UAN Number Se PF Kaise Check Kare

UAN Number Se PF Kaise Check Kare | PF Balance Check with UAN Number

Dosto, jaise ki aap jaante hain, private karmachariyon ke PF account se sambandhit sabhi karyon ko PF website ki madad se online kiya jata hai. Chahe PF Balance Check karna ho, chahe PF nikalna ho ya pension account se sambandhit koi bhi kary ho, aap UAN number aur password ki madad se badi aasani se online PF se sambandhit kary kar sakte hain. Aaj ke article mein yahi main aapko batane wala hoon, UAN Number Se PF Kaise Check Kare.

Agar aapke paas UAN Number aur Password hai, to aap ghar baithe apne mobile phone se online PF account balance check kar sakte hain. Is article mein humne UAN Number se PF check karne ka aasan tarika bataya hai. Aap bataye gaye prakriya ko follow karke badi aasani se UAN Number se PF balance check kar sakte hain.

UAN Number Se PF Kaise Check Kare

Dosto, jaise ki humne bataya agar aapke paas UAN number aur password hai, to aap official portal par jakar badi aasani se apna PF balance check kar sakte hain. UAN Number Se PF Balance Check karne ke liye niche diye gaye nimnlikhit prakriya ko follow karen:

Step 1: Uan Portal Par Jayen.

UAN Number Se PF Balance Check karne ke liye aapko sabse pehle apne computer ya mobile par UAN portal par jana hoga.

Step 2: Uan Portal Par Login Karen.

UAN portal par jane ke baad aapko UAN portal par login karna hai. Yahan par UAN Number, Passbook, aur captcha code bharkar “Sign in” par click kar dena hai.

Step 3: Passbook Par Click Karen.

UAN portal par login karne ke baad aapke samne home page par hare rang ki patti par “View” ka option dikhayi dega, us par click kar dena hai. View par click karte hi aapke samne 4 options dikhayi denge, niche diye gaye chitram mein teer ke samne “Passbook” par click kar dena hai.

Step 4: Passbook Login Karen.

Passbook par click karne ke baad aapke samne login box khul jayega, yahan par UAN Number, Password daal dena hai. Iske baad niche ek ganitiy sawal dikhaya jayega, uska uttar khali box mein likhkar “Login” par click kar dena hai.

Step 5: Apna Member Id Chunen.

Login par click karte hi aapke samne naya page khul jata hai, is page mein sabse upar aapka UAN Number, Pan Card Number dikhayi deta hai. Yahan par aapko “Select Member ID” par click karke apna vartaman PF account number select kar lena hai.

UAN Number Se PF Kaise Check Kare.

Step 6: View Passbook, [new Yearly] Par Click Karen.

Member ID chunne ke baad PF account ka passbook dekhne ke liye teen options dikhayi denge, 1. View Passbook,[New yearly] 2. View Claim Status 3. View Passbook [OLD:FULL]

Step 7: Uan Number Se Pf Check.

View Passbook,[New yearly]: PF aur pension se sambandhit har saal ka alag-alag record dekhne ke liye aapko pehle option “View Passbook,[New yearly]” par click karna hoga. Jis varsh ka PF account balance ka record check karna chahte hain, use select karke jama aur nikasi ka details check kar sakte hain.

View Claim Status: Agar aapne PF account se sambandhit koi online claim kiya hua hai, to uski jaankari View Claim Status par click karke check kar sakte hain.

View Passbook [OLD:FULL]: Agar aap tareekh ke hisab se apne PF account mein jama dhanrashi aur nikasi dhanrashi ka record check karna chahte hain, to View Passbook [OLD:FULL] par click karke tareekh select karke check kar sakte hain.

Is prakar dosto, aap badi aasani se is article mein bataye gaye prakriya ko follow karke online ghar baithe apne mobile phone se UAN number se PF balance check kar sakte hain.

Agar aapko UAN number ka password pata nahi hai, to bhi aap badi aasani se apne PF account ka balance check kar sakte hain. Iske liye aapko apne PF accounts se link mobile number se EPFO Toll-Free Number: 011-229-01-406 par missed call karna hoga.

Missed call karte hi kuch seconds mein aapke mobile par aapke PF account balance ka SMS aa jayega. Jisme aapka naam, janm tithi, UAN number, PF karmachari ka anshdaan, company ka anshdaan, antim baar hua anshdaan, pension account ka balance, adi jaankari hoti hai.

Har Mahine Kitna Paisa Pf Account Mein Jama Hota Hai?

Kisi bhi karmachari ka agar PF kata raha hai, to us karmachari ka basic salary + mahangi bhatta milakar hone wali kul dhanrashi ka 12% karmachari ke PF account mein jama kiya jata hai.

Kisi bhi karmachari ki manthly salary ka jitna pratishat dhanrashi karmachari ke PF account mein jama kiya jata hai. Karmachari ki company athwa sanstha dwara bhi utni hi dhanrashi karmachari ke PF account mein jama kiya jata hai. Lekin company athwa sanstha ki taraf se jama hone wali dhanrashi ka 3.67% karmachari ke PF account mein jama kiya jata hai. Jabki 8.33% dhanrashi karmachari ke pension account mein jama kiya jata hai.

Uan Number Se Pf Kaise Check Kare. (Faq)

1. Google Se Pf Kaise Check Karen?

Google se PF Check karne ke liye sabse pehle Google par search karna hai – “UAN Portal”, iske baad UAN portal par UAN number aur password se login karna hai. Iske baad is article mein bataye gaye prakriya ko follow karke PF Account Balance Check kar sakte hain. Iske alawa PF balance check passbook download kar sakte hain.

2. Pf Check Karne Ka Toll-free Number Kya Hai?

PF check karne ka toll-free number: 1800-1180-05 hai, jis par aap 7 dino tak subah 9:15 se shaam 5:45 ke beech call kar sakte hain.

3. Bina Password Ke Pf Kaise Check Karen?

Agar aapka UAN number active hai, lekin aapko password pata nahi hai, to aisi sthiti mein aap 7738299899 par SMS bhejkar PF account ka balance check kar sakte hain.

4. Uan Number Ka Upayog Karke Pf Balance Kaise Check Karen?

UAN number ka upayog karke PF Balance Check karne ke liye nimn prakriya ko follow karen – UAN Portal par jayen >> UAN Portal par login karen >> Passbook par click karen >> Passbook Login karen >> Member ID chunen >> View Passbook par click karen >> UAN Number Se PF Check karen.

5. Main Uan Ke Bina Apna Pf Balance Kaise Check Kar Sakta Hoon?

Agar aapko apna UAN number yaad nahi hai, to aap toll-free number: 01122901406 par missed call dwara PF balance check kar sakte hain ya 7738299899 par SMS bhejkar PF Balance check kar sakte hain.

Nishkarsh

Dosto, is article mein hamne UAN Number Se PF Kaise Check karne ki prakriya batayi hui. Is article mein bataye gaye prakriya ko follow karke aap ghar baithe online apne mobile phone se UAN number se PF balance check kar sakte hain. Agar aapko “UAN Number Se PF Check Karna Hai” se sambandhit aur koi sawal hai, to comment karke puch sakte hain.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *