Mobile se UAN Number kaise Pata Kare

Mobile se UAN Number kaise Pata Kare: SMS SE, Website Se, Missed Call Se

Agar aap naukripesha hain aur aapke paas ek Provident Fund yaani PF account hai to aapke liye zaroori khabar hai. Universal Account Number yaani UAN 12 ank ki ek vishisht pehchaan sankhya hai. Yeh sankhya Employ Provident Fund Organization dwara pradan ki jaati hai. Khaas baat hai ki kisi karmachari ka UAN wahi bana rahega, bhale hi vah apne jeevan kaal mein naukri badal bhi leta hai. UAN number ke jariye Provident Fund (PF) account ki details pata ki ja sakti hai.

Agar aap apna UAN number bhool gaye hain to ghabrane ki zaroorat nahi hai. Ise phir se paaya ja sakta hai. Ise phir se paane ke 3 aasaan tarike hain – online tarike, missed call se ya phir SMS. Ise jaanne ke liye aapka mobile number EPFO ke saath registered hona chahiye aur KYC puri honi chahiye.

Uan Number Jaanne Ka Online Tareeka

Missed Call Se Jaan Sakte Hain Uan

  • EPF khataadhark ko apne registered mobile number se 01122901406 par missed call deni hogi.
  • Missed call dene ke kuch hi seconds mein EPFO se message aapko milega jisme UAN samet anya jaankariyaan hongi.

Sms Ke Jariye Bhi Pata Kar Sakte Hain Uan

  • Registered mobile number se EPFOHO UAN ENG likhkar 7738299899 par bhej dein. Hindi mein SMS mangwane ke liye EPFOHO UAN HIN likhkar bhejen.
  • Ab EPFO se message aapko milega jisme UAN samet anya jaankariyaan hongi.

Alag Alag State Ka Uan Number 7738299899 Par Sms Bhejkar Bhi Pata Kar Sakte Hain

Aap EPFO ke number 7738299899 par, apne registered mobile number se SMS bhejkar bhi apna UAN number pata kar sakte hain. Iska tareeka is prakar hai-

Apne mobile par SMS type kariye EPFOHO UAN ENG. Is message ko EPFO ke mobile number 7738299899 par send kar dijiye. Agle kuch seconds mein, aapke mobile par paas ek SMS aayega, jisme, aapka UAN number, antim anshdaan, kul PF Balance wagairah ki jaankari shaamil hogi.

  • Hindi bhasha ya kisi anya bhasha mein SMS mangwane ke liye code is prakar likha jaayega-
  • Hindi bhasha mein jaanne ke liye- EPFOHO UAN HIN
  • Punjabi bhasha mein jaanne ke liye- EPFOHO UAN PUN
  • Gujarati bhasha mein jaanne ke liye – EPFOHO UAN GUJ
  • Marathi bhasha mein jaanne ke liye – EPFOHO UAN MAR
  • Kannada bhasha mein jaanne ke liye- EPFOHO UAN KAN
  • Telugu bhasha mein jaanne ke liye – EPFOHO UAN TEL
  • Tamil bhasha mein jaanne ke liye- EPFOHO UAN TAM
  • Malayalam bhasha mein jaanne ke liye- EPFOHO UAN MAL
  • Bengali bhasha mein jaanne ke liye- EPFOHO UAN BEN

Uan Portal Par Maujood Link Se Bhi Jaan Sakte Hain Uan Number?

EPFO ke UAN portal par nimnlikhit steps pure karke aap apna UAN number jaan sakte hain-

  • Step 1: Apne computer par UAN portal kholen. Iska link hai- https://unifiedportal-mem.epfindia.gov.in/memberinterface/
  • Step 2: Home page par daahini or Universal Account Number (UAN) MEMBER e-SEWA ka login box dikhata hai. Ismein thoda niche jaane par Know your UAN ka link milta hai. Is par click kar dijiye.
  • Step 3: Apna Mobile Number aur Captcha code daalkar Request OTP ke button par click kar dijiye. Computer screen par message aa jaayega ki OTP sent Successfully to **********। Ise OK kar dijiye. Aapke mobile par 6 ankon ka OTP number SMS se bheja jaayega.
  • Step 4: Mobile se OTP number ko dekhkar OTP box mein daal dijiye aur Captcha code bhi daal dijiye. Iske baad niche major Validate OTP ke button par click kar dijiye. Screen par message aa jaayega ki OTP Validation Successful। Isse OK kar dijiye.
  • Step 5: Apna naam aur janmatithi daal dijiye. Uske baad Aadhar Number ya PAN card number daal dijiye. Aadhar Number ya PAN card number EPF account mein link nahin hai to apna PF account number daal dijiye.

Ab Captcha code daalkar Show My UAN ke button par click kar dijiye. Step 6: Screen par ek box prakat hoga, jisme likha hoga- Your UAN Number is ************। Yahi aapka 12 ankon ka UAN number hai.

Is prakar aap online apne PF account ka UAN number pata kar sakte hain. Aage jab bhi zarurat ho, is UAN number ki madad se, aap EPF account se judi sewaon ka istemal kar sakte hain.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *