NEFT UTR Number Kya Hota Hai? And Kaise Pata Kare 2023-24

NEFT UTR Number Kya Hota Hai? And Kaise Pata Kare 2023-24

UTR Number Kya Hota Hai? Aapne kai baar UTR Number ka naam suna hoga ya phir paise transaction ke baad jo message aate hain usmein UTR Number likha dekha hoga lekin kya aapko UTR Number Kya Hota Hai ke baare mein poori jaankari pata hai?

Aaj ke samay mein paise transfer karne ke kai saare tarike aa chuke hain aur aap ghar baithe paise transfer kar sakte hain. Aap chahe kisi bhi madhyam se transaction karein (RTGS, IMPS, NEFT, ya phir UPI) to un sabhi transactions ka ek UTR Number hota hai.

Aap mein se kai logon ko UTR Number ke baare mein thodi bahut jaankari hogi lekin agar aap iske baare mein poori jaankari jaanna chahte hain to is article ko shuru se lekar ant tak poori padhein.

Is article mein aapko UTR Number se related kai jaankari dekhne ko milengi jaise UTR Number Kya Hota Hai, UTR full form in Hindi, UTR Number kaise pata karen, UTR Number ka kya upayog hai, aadi.

NEFT UTR Number Kya Hota Hai?

UTR Number ek unique number hota hai jo aapke dwara kiye gaye har transaction par prapt hota hai. UTR ka poora naam ‘Unique Transaction Reference’ hota hai aur aapko iske naam se hi thoda bahut pata lag gaya hoga.

UTR Number aap apne bank ke passbook ya bank statement mein dekh sakte hain aur yah number 16 ya 22 ank ka hota hai. UTR aapke har transaction ke baad generate hoti hai aur yah computerized generated addition Sankhya hoti hai.

  • NEFT UTR ka full form hota hai – Neft Unique Transaction Reference Number.
  • Iska matlab hota hai – NEFT ke madhyam se huye saude ka vishesh transaction number. Isse adwitiya len-den sandarbh sankhya bhi keh sakte hain.

Jab bhi aap Net Banking ki madad se paisa transfer karte hain to vah ya to Reserve Bank ke Payment Transfer System se guzarkar jata hai. Yah system do tarah se kaam karta hai. 2 lakh rupaye se kam ki rakam hai to vah NEFT (National Electronic Funds Transfer) ke madhyam se jati hai. NEFT se paisa pahunchne mein aadha-ek ghante ka samay lag jata hai.

Agar aapko apna transaction history ke baare mein poori jaankari check karni hai to aap is UTR Number ki madad se aasani se sabhi transactions ke baare mein pata laga sakte hain.

Utr Full Form in Hindi –

UTR ka full form ‘Unique Transaction Reference’ hota hai aur isse Hindi mein ‘अद्वितीय लेनदेन संदर्भ’ bola jata hai. UTR Number, jise ‘रेफरेंस नंबर’ ke naam se bhi jana jata hai.

  • U – Unique
  • T – Transaction
  • R – Reference

**Utr Number Kaise Pata Kare?**

Aap UTR number ko kai alag-alag tarike se pata laga sakte hain –

  • Aap apne passbook ya bank account ke statement mein UTR number ka pata laga sakte hain. Aapko apne bank statement mein “Ref. No.” ke niche UTR number dekhne ko mil jayega.
  • Agar aap net banking ka istemal karte hain to aap online bhi bahut aasani se UTR number ka pata laga sakte hain. Iske liye aapko net banking website par jakar login karna hoga aur Mini Statement ya Account Passbook ka option mil jayega us par click karne ke baad UTR number dekhne ko mil jayega.
  • Agar aap UPI ka istemal karte hain aur jyadatar transactions UPI app se hi karte hain to waha par bhi aapko UTR number dekhne ko mil jayega. Iske liye aapko transaction history mein jana hoga transaction par click karna hoga aur uske baad aapko UTR number mil jayega.
  • Agar aap upar bataye gaye teen tarike mein se koi bhi tarike se UTR number pata lagane ke liye nahi karna chahte hain to aap apne bank ke customer care number se bhi UTR number ka pata laga sakte hain.

**Yono Sbi (Sbi) Mein Utr Number Kaise Check Karen?**

Aapka account SBI bank mein ho ya kisi aur bank mein lekin UTR number pata lagane ka tarika sabhi bank account ka ek hi hota hai. Aap apne kisi bhi bank ke statement ya passbook, net banking, ya customer care se baat karke UTR number ka pata laga sakte hain.

Agar aapka account SBI bank mein hai to aap SBI customer care number 1800112211, 18004253800 ya 080-26599990 par call karke UTR number ka pata laga sakte hain.

**Utr Number Ka Kya Upyog Hai?**

UTR number ka upyog aap kai tarah se kar sakte hain jinme se kuch upyog is prakar hain –

  • UTR number se aap apne sabhi tarah ke transactions ko check kar sakte hain.
  • Aap UTR number ki madad se monitor financial transactions ko track kar sakte hain.
  • Agar aapka koi fund transfer nahi hua hai, yani ki pending mein hai, to aap UTR number ki madad se use track kar sakte hain.
  • Aap NEFT aur RTGS dono prakar ke transactions mein UTR number ka istemal kar sakte hain.
  • Yadi aapka NRI account debit ho gaya hai, lekin safalta poorvak transaction nahi hua hai, to aap UTR number ka istemal kar sakte hain.
  • Aapko apne transactions se related kisi bhi tarah ki samasya ke liye bank pratinidhi se baat karna hai to iske liye UTR number ka istemal ho sakta hai.

**Faqs: Utr Number Kya Hota Hai**

Q: Utr Ka Poora Naam Kya Hota Hai?

Ans: UTR ka poora naam ‘Unique Transaction Reference’ hota hai.

Q: Utr Number Kitne Ank Ka Hota Hai?

Ans: UTR number 16 ya 22 ank ka hota hai.

Q: Kya Utr Number Share Karna Surakshit Hai?

Ans: Aapko kabhi bhi apna UTR number kisi bhi vyakti ke saath sajha nahi karna chahiye.

Q: Kya Transaction Id Aur Utr Number Ek Hi Hota Hai?

Ans: Transaction ID, Transaction number, aur UPI reference ID ye sabhi shabd UTR ka pratinidhitva karne ke liye upayog kiye jaate hain.

Aaj Aapne Kya Seekha –

Aaj ke is article mein hamne UTR number ke baare mein bahut kuch jaana hai UTR number kya hota hai, UTR number in Hindi, UTR full form in Hindi, UTR meaning in Hindi, UTR number kaise pata kare, ityaadi ke baare mein baat kiya hai.

Mujhe ummeed hai ki is article mein batayi gayi saari baatein aapko achhi lagi hogi aur sab kuch samajh aa gaya hoga. Is article ko padhne ke baad aapko UTR number ke baare mein sab kuch pata chal gaya hoga.

Agar aap mujhse UTR number se related koi sawaal poochna chahte hain to niche comment karke pooch sakte hain aur agar koi sujhav ho to bhi aap bata sakte hain.

Agar hamara yeh article achha laga ho to aap apne social media platforms aur apne dosto ke saath jarur share karein.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *