Band Account Chalu Karne Ka Application Kaise Likhein?

Band Account Chalu Karne Ka Application Kaise Likhein?

Aaj ke samay mein bank khata hum sabke paas hota hai, chahe bachat khata ho ya phir current account. Kyunki aaj ke samay mein sab kuch digital hone ke kaaran sabko bank khate ki avashyakta hone lagi hai.

Bank khata hone ke ek aam vyakti ko anek labh bhi hain. Iska mukhya kaaran yeh bhi hai abhi ke samay mein agar koi sarkari yojana ke dwara bhi aapko kisi rashi ka labh milta hai, to vo rashi seedhe hi aapke bank account mein bheji jaati hai.

Lekin kabhi-kabhi hamari andekhi ke kaaran hamara bank khata band ho jaata hai. Aaj ham baat karenge ki “Band Bank Account Ko Chalu Karne Ke Liye Application” kaise likha jaata hai, taaki ham samay par apne bank khate ko chalu karva sake.

Bank Khata Ke Band Hone Ke Mukhya Kaaran:

Agar aap bhi apne bank mein lambe samay tak (udaharan ke taur par 6 mahine tak) kisi bhi tarah ki koi len-den nahin karte hain, to iska bhi kaaran ho sakta hai aapka bank khata band ho sakta hai.

Bank khate mein kam balance hone ke kaaran bhi kahin baar bank khate ko band kar diya jaata hai. Hamesha bank khate mein aapko jitna bank ke dwara nirdharit kiya gaya hai, utni rashi apne khate mein rakhne ki koshish karni chahiye, taaki account band hone jaise parishani se bacha ja sake.

Khate Ko Band Hone Se Kaise Bachaya Ja Sakta Hai?

Ham agar kuch savdhani rakhte hain to apne bank khate ko band hone se aasani se bacha ja sakta hai. Isme jyada aapko dhyan dene ki bhi zaroorat nahin hai. Bas kuch mukhya baatein hain jinka aapko palan karna hota hai jaise:

  • Koshish karein ki apne khate mein samay-samay par paison ko nikalne aur jama karvane ka kaam karte rahein, taaki len-den lambi samay tak nahin karne ke kaaran aapka khata band na ho.
  • Jis bhi bank mein aapka khata hai, vahan ke karmachariyon ya phir bank manager se aapko maloom karna chahiye ki hum apne khate mein kitne rupaye rakhe hain, taaki hamara khata band na ho.
  • Maloom hone par aapko utna bank balance aapko khate mein rakhne ki koshish karni hai, taaki kisi tarah ke bank bhi aapse jurmana rashi ke roop mein charge na vasool sake.

Application for Reopen Bank Account

Seva mein,

Shreeman Shaakha Prabandhak Mahodaya

( Aapki bank ka naam likhe, jisme aapka khata hai )

( Shahar ka poora naam likhe, jila aur rajya likhe )

Vishay: Band khate ko chalu karvane ke liye aavedan patra

Maanyavar,

Savinay namr nivedan hai ki mera naam Sohan Lal hai, aur main aapke bank ka pichhle 5 saal se khataadhark hoon. Lambe samay tak main kisi karanvash apne bank khate mein len-den nahin kar saka (aapka agar koi doosra karan ho to vo karan likhe), is karan se mera bank khata band ho gaya hai. Jiski khata sankhya 12345678910 hai. (Aapko apne khate ki sankhya likhni hai)

Atah, Shreeman se nivedan hai ki aap mere khate ko vaapis chalu karne ki kripa kare, taaki main apne bank khate mein vaapis len-den shuru kar sakoon.

Dhanyavaad!

Aapka vishwaasi

Sohan Lal (Yahaan par aapko apna naam likhna hai)

Pata – Maansarovar, Jaipur (Aap apna khud ka pata likhe)

Khata Sankhya – (Apni passbook mein dekhkar khata sankhya likhe)

Mobile Number – (Apne khate mein registerd mobile number likhna hai)

Dinank – (Aavedan patra likhne ke din ki tareekh)

Band Bank Khata Ko Chalu Karvane Ke Liye Aavedan Patra Ke Saath Lagaye Jaane Vaale Dastavez

Aisi meri aasha hai ki apne maine jis tarah se aapko band account ko vaapis chalu karvane ke liye application likhkar batayi hai, aapne likh bhi li hogi. Ab hum baat karte hain aapko is aavedan-patra ke saath bank shaakha mein aur kaun-kaunse documents ko jama karvana hai, taaki aapka samay par vaapis bank khata chalu ho sake.

  • Sabse pehla kaam aapko khali page mein upar bataye anusar ek aavedan-patra likh lena hai.
  • Aapka jis bhi bank branch mein account hai, vahan se aapko band khate ko chalu karvane ka ek form lena hai.
  • Form ko aapko achhi tarah se bhar lena hai. Agar aapko form bharna nahi aata to aap bank mein kisi se sahayata bhi le sakte hain.
  • Is form mein aapki apne band khate ki saari jaankari jaise naam, poora pata, band account ki khata sankhya aadi achhi tarah se bharni hai.
  • Aapko apne Aadhar card aur agar aapke paas PAN card bana hua hai to Aadhar card aur PAN card ki photocopy karva kar apne hastakshar karne ke baad saved-patra ke saath laga deni hai.
  • Bank karmi ke bataye anusar rashi aapko apne khate mein jama karvani hai. Aur kuch samay baad aapko khate se kuch paisa vaapis nikalva lena hai. Taaki khate mein vaapis len-den ho sake.

Band Bank Khata Kitne Din Baad Chalu Ho Jaata Hai

Khate ko vaapis chalu karvane ki aapne sabhi prakriya poori kar li hai. To jaldi hi bank ke dwara aapka khata vaapis chalu kar diya jaata hai. Agar dinon ki baat kare lagbhag 1 se 2 din lag jaata hai. Agar bank mein kaam zyaada hai to thoda samay zyaada bhi lag sakta hai.

Band Bank Account Ko Chalu Krane Ke Liye Application Se Sambhandhit Prashn ( Faqs )

1. Band Bank Khata Chalu Karvane Ke Liye Kaun-kaunse Dastavez Ki Zarurat Hoti Hai?

Band bank khata ko vaapis chalu karvane ke liye aapko application, KYC form, Aadhar card ya PAN card ki avashyakta hogi.

2. Kitne Dinon Ke Baad Bank Khata Band Ho Jaata Hai?

Agar hum apne bank khate mein lagatar 6 mahine tak kisi bhi tarah ka koi bhi len-den nahi karte hain to hamara bank khata band kar diya jaata hai. Vaapis chalu karvane ke liye hamare ko bank branch mein jaakar ek application aur KYC form aur dastavez jama karvane ke baad apne bank khate mein kuch len-den karni hogi. Iske baad aapka bank khata vaapis chalu kar diya jaata hai.

3. Bank Khata Band Hai Ya Chalu Kaise Pata Kare?

Apna bank khata chalu hai ya band iska pata karne ke liye aap apne bank ke customer care number se pata kar sakte hain. Ya phir apni bank branch mein jaakar bhi aap pata kar sakte hain.

Is tarah se agar aapka bhi bank khata band ho gaya hai, to aavedan patra likhkar aasani se chalu karva sakte hain. Agar aapke koi sawal band bank khate ko vaapis chalu karvane ko lekar hai to aap hamari team ko comment karke pooch sakte hain. Hum jaldi hi aapke sawal ka jawab dene ki koshish karenge.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *