Post Office Ki Sabse Achhi Scheme Kaun Si Hai

Post Office Ki Sabse Achhi Scheme Kaun Si Hai

Post office ki sabse achhi scheme kaun si hai: Aaj hum aapke liye ek aisi yojana ki jaankari lekar aaye hain jisse aap apne paise ki bachat kar sakte hain. Is article mein hum aapko Post Office Saving Scheme ki jaankari denge jisse aap is yojana ki sabse achhi-achhi schemeo ki bhi jaankari le paayenge.

Sabhi bank ki tarah Post Office bhi kai prakar ki saving yojana chalati hai jiske antargat logon ko paise bachat karne mein aasani hoti hai. Dakghar Bachat Yojana ke antargat logon ko uchit byaaj dar ke saath-saath tax mein chhoot aur kai suvidhaayein dete hain.

Dakghar Bachat Yojana ke antargat kai aisi bachat yojanaayein chalai jaati hai jisse logon ko paison ki bachat karne mein aasani hoti hai. Aaj hum aapko un yojanaon ki sabhi jaankari is article mein visthaar se batayenge.

Is yojana ka mukhya udeshya yahi hai ki logon ko paison ki bachat karne mein aasani ho aur ismein nivesh karne wale niveshakon ko labh pradaan kiya ja sake. Post Office Saving Scheme ke madhyam se niveshakon ko uchch byaaj dar aur kar mein kuch chhoot bhi pradaan kiya jata hai. Is yojana ke antargat bachat yojanaon ki jaankari niche diya gaya hai.

Post Office Ki Sabse Achhi Scheme Kaun Si Hai?

पोस्ट ऑफिस में सबसे अच्छी स्कीम क्या है

1. **Post Office Fix Deposit**

Is yojana mein nivesh karne ke liye nyuntam rashi 200 rupees nirdharit ki gayi hai, aur iske antargat khole gaye khate ko kisi doosre ko transfer bhi kiya ja sakta hai. Ismein nivesh karne ke alag-alag karyakal rakha gaya hai jisme 1 saal, 2 saal aur 3 saal ke liye 5.5 percent aur 5 saal tak nivesh karne par 6.7 percent byaaj dar rakha gaya hai.

2. **Sukanya Samriddhi Yojana**

Yah yojana ladkiyon ke liye shuru kiya gaya hai jismein nyuntam rashi 1000 nivesh kiya jata hai jismein byaaj dar 7.6 percent nirdharit kiya gaya hai. Ismein 15 saal tak nyuntam rashi nivesh karna anivarya hai aur ismein nishchit samay hai.

3. **Public Provident Fund (PPF)**

Public Provident Fund mein nivesh karne ki nirdharit samay 15 saal hai aur ismein 7.1 percent byaaj dar nirdharit kiya gaya hai. Ismein nivesh karne ki nyuntam rashi 500 rupees aur adhiktam rashi 1,50,000 hai.

4. **National Savings Certificate (NSC)**

Is National Savings Certificate yojana ke antargat nivesh karne ki avadhi 5 saal hai jismein nyuntam rashi 100 rupees hai aur iska byaaj dar 6.8 percent nirdharit kiya gaya hai. Ismein adhiktam rashi nirdharit nahi hai.

5. **Kisan Vikas Patra**

Yah yojana kisanon ke liye hai aur iska karyakal 9 saal 4 mahine hai jismein 6.9 percent byaaj dar nirdharit kiya gaya hai. Ismein nivesh karne ki nyuntam rashi 1000 hai aur adhiktam rashi nirdharit nahi hai.

6. **Varishth Nagarik Bachat Yojana**

Yah senior citizen saving scheme 60 varsh se adhik ke niveshak ke liye hai jismein byaaj dar 7.4 percent hai. Ismein nyuntam rashi nirdharit nahi hai aur adhiktam rashi 15,00,000 nirdharit hai.

7. **National Pension System (NPS)**

Yah retirement ke baad labh dene ke liye hai, iska labh retirement nagrik le sakta hai, saath hi ismein tax mein kuch chhoot diya jata hai aur ismein nivesh karne ki koi upari seema nahi hai.

Nishkarsh

Post Office ki sabse achhi scheme kaun si hai, iski sabhi jaankari aapko is article se visthar se mil gayi hai. Humne aapko Post Office ki sabhi achhi yojanaon ki jaankari de di hai. Inme se aap jis yojana ka labh uthana chahte hain, uske antargat account kholva sakte hain aur usse milne wale labh le sakte hain.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *