Sbi Account Balance Kaise Check Kare

Sbi Account Balance Kaise Check Kare| Sbi Khate Ka Balance Check Karne Ke Tarike

आज के इस आर्टिकल में मैं आपको बताने वाला हूं, कि SBI Bank Account Balance Kaise Check Kare, जैसा कि आप जानते हैं पहले स्टेट बैंक ऑफ इंडिया के खाता धारक को अपने बैंक अकाउंट में शेष राशि का बैलेंस चेक करने के लिए उन्हें बैंक ब्रांच का चक्कर लगाना पड़ता था|

जिससे उनका समय बर्बाद होने के साथ-साथ बैंक आने जाने में परेशानी भी होती थी| अपने ग्राहक की इन्हीं परेशानियों को दूर करने के लिए SBI बैंक बैलेंस चेक नंबर जारी किया है|

अब कोई भी एसबीआई बैंक खाताधारक बिना बैंक जाए अपने घर से अपने मोबाइल फोन से अपने बैंक खाता का बैलेंस चेक कर सकता है| आज इस आर्टिकल में हम स्टेट बैंक ऑफ इंडिया बैंक खाता का बैलेंस चेक करने की प्रक्रिया विस्तार से जानेंगे|

Sbi Bank Balance Check Karne Ke Tarike | Sbi Bank Account Balance Kaise Check Kare

Aaj ke digital duniya mein kisi bhi bank account ka Mini Statement ya Bank Balance Check karne ka bahut se tarike uplabdh ho gaye hain. Jaise: USSD code dwara, mobile app dwara, SBI ATM dwara, bank passbook dwara, net banking dwara, SMS dwara, SBI Bank Balance Check Toll Free Number dwara, aadi.

Aise mein jin vyaktiyon ka State Bank of India mein Bank Account hai, ve apni ichha anusar kisi bhi tarike se SBI Khata Ka Bank Balance Check kar sakte hain. Iske alawa gramin kshetron mein rahne wale log jinka State Bank of India mein bank khata hai, ve bhi badi aasani se upar diye gaye tarike se apne bank khate ka balance check kar sakte hain.

Lekin agar upar diye gaye tarike se SBI Bank Balance Check karne mein pareshani aa rahi hai, to aap apne kshetra ke najdiki CSC Center par jakar aadhaar card ke madhyam se apne SBI Account Ka Balance Check karwa sakte hain. Lekin aisi sthiti mein aapka Aadhar Card aapke Bank Account Se Link hona chahiye.

Agar aapka State Bank of India mein account hai aur aap apne bank khata ka balance check karna chahte hain, to aap niche diye gaye sabhi tarike se State Bank of India Bank Balance Check kar sakte hain.

Sbi Balance Check Number Miss Call/mobile Number Se Bank Balance Check Sbi

SBI bank balance check missed call number: SBI Bank ne apne grahakon ki suvidha ke liye SBI Bank Grahak Toll Free Number 09223766666 jaari kiya hai. Aapka State Bank of India mein bank account ke saath jo mobile number link hai, usi mobile number se is toll-free number par phone lagana hai.

Phone lagate hi is number par ghanti jaayegi, uske baad phone kaat jaayega. Iske baad aapke mobile number par Bharti State Bank Khata Balance ka poora vivaran aa jaayega.

1. Passbook
2. SBI Card Balance Inquiry
3. ATM
4. Net Banking
5. Mobile Number
6. SMS Banking

Atm Card Se State Bank Ka Khata Kaise Check Kare?

Dosto, agar aapke paas SBI Bank ka debit card hai, to aapko kisi bhi bank ke ATM par chale jana hai, aur wahaan sabse pehle debit card ko ATM mein daalkar PIN code daalen, iske baad “Balance Enquiry” par click karein, iske baad ATM screen par aapke SBI Bank account ka balance dikhane lagega.

Net Banking Se State Bank of India Account Balance Kaise Check Kare

Agar aapke paas SBI Bank ka internet banking seva hai, to aap badi aasani se SBI Bank ka khata balance check kar sakte hain. Iske liye aapko sabse pehle SBI ke net banking page par jana hai aur wahaan par apni net banking user ID aur password se login kar lena hai. Iske baad aap badi aasani se SBI Bank account balance check kar sakte hain.

Sms Ke Madhyam Se Bharatiya State Bank Khata Ka Balance Kaise Check Karein

SBI Balance Check Number SMS: Agar aap SMS ke madhyam se SBI Bank account balance check karna chahte hain, to aapko “REG” likhkar phir space dekar apna account number likh dena hai, aur 09223488888 par bank mein registerd mobile number se ismein bhej dena hai. Iske bhejne ke kuch samay baad aapke mobile number par ek SMS aa jayega jismein aapke SBI Bank khata ka balance ka vivaran dikhayi dega.

Bank Passbook Se Sbi Bank Account Balance Kaise Check Kare.

Agar aap bank passbook ke madhyam se apne khate mein pade dhanrashi ki jankari lena chahte hain, to iske liye aapko sabse pehle SBI Bank ki shakha mein jana hai. Aur apna passbook print karwana hai, passbook print karwane ke baad aap wahaan par apne State Bank of India Account Balance badi aasani se dekh sakte hain.

Upi App Ki Madad Se Sbi Bank Account Balance Kaise Check Kare.

Sabhi bank apne customers ko banking suvidha dene ke liye mobile application bhi shuru kiya hai. Jiska upayog customer apne mobile mein kar sakta hai. Iske alawa kai payment companies ne alag-alag UPI apps launch kiye hain jaise: PhonePe, Google Pay, Amazon Pay, PayTm adi.

Agar aapka bank khata SBI Bank mein khula hua hai, aur aap Google Pay ka upayog karte hain, to Google Pay se bank balance check karne ke liye sabse pehle aapko Google Pay app ko open karna hoga. Open karne ke baad scroll down karte hi niche aana hai.

Ab aapko dikhaye rahe teesre option “Check Bank Balance” par click kar dena hai. Iske baad aapke samne Enter Google PIN bharne ka option dikhayi dega, jise bhar dena hai.

Iske baad aapka bank balance dikhaye dene lagega, chitr mein aap dekh sakte hain. Isi tarah se anya UPI App ki madad se apna bank balance check kar sakte hain.

Aadhar Card Number Ki Madad Se Sbi Bank Balance Check Kaise Karen?

Dosto, jaisa ki aap jaante hain bank dwara apne customer ko aadhar card number aur fingerprint verification ki madad se bank khata kholne, bank khata se paisa nikalna, bank khata mein paisa jama karna, bank balance check karne ki suvidha deta hai.

Agar aapka account State Bank of India mein khula hua hai, aur aapke bank account se aadhar card link hai, to aap apne kshetra ke najdeekhi CSC center par jakar aadhar card number aur fingerprint ki madad se SBI Bank account balance check karwa sakte hain.

Mobile Banking App Dwara Sbi Bank Account Ka Balance Check Kaise Kare.

SBI Bank Balance Check Online Apps: State Bank of India apne grahakon ko SBI Online, SBI Anywhere Saral, SBI Anywhere YONO SBI Balance Check adi kai prakar ki Mobile App ki suvidha pradan karti hai. In mobile apps ke madhyam se aap badi aasani se apne State Bank of India Bank Balance Check kar sakte hain.

  • Miss Call Banking: Bharatiya State Bank apne grahakon ko Miss Call Banking ki suvidha bhi pradan karti hai. Miss Call Banking ke dwara aap SBI Balance Enquiry, Mini Statement, Education Loan Certificate, E-statement, Home loan Certificate Statement, ATM Configuration, Home loan, Car loan adi ki jankari keval ek miss call dekar pa sakte hain.
  • Agar aap Miss Call Banking registration karna chahte hain to aapko apne registered mobile number se REG <space> khata sankhya likhkar 09223488888 par SMS kar dena hai.
  • Is SMS karne ke kuch samay ke uprant aapke mobile number par ek message aayega, jisme likha hoga ki aapka Miss Call Banking registration ho chuka hai.
  • SBI Anywhere: State Bank of India apne grahakon ke liye Android/IOS mobile par SBI Anywhere Mobile App bhi launch kiya hai. Aap SBI Anywhere mobile app download karke Bank Account Statement Check, Bank Balance Enquiry, Money Transfer adi prakar ki sevaon ka labh utha sakte hain.
  • SBI Anywhere Saral (SBI M Passbook): SBI Bank apne grahakon ke liye SBI Corporate Internet Banking App bhi shuru kiya hai. Is app ke madhyam se koi bhi grahak jo online banking ka upayog karta hai, vah badi aasani se Mobile Recharge, Bank Balance Enquiry, Account Statement, Money Transfer adi sevaon ka labh utha sakta hai.

USSD Code dwara SBI Bank Balance Enquiry: USSD ka full form: Unstructured Supplementary Service Data jiska prayog mobile phone aur application program ke beech suchna pradan karne ke liye kiya jata hai. Jin grahakon ka State Bank of India mein khata khula hai, vahi USSD Code service ka labh utha sakte hain. USSD Code ke madhyam se aap paisa transfer karna, Mini Statement check karna, mobile recharge karna, bank balance check karna adi kary kar sakte hain.

Sbi Ussd Code Kaise Upayog Kiya Jata Hai?

Hum aapko bata dena chahte hain ki SBI USSD Code alag-alag prakar ka hota hai, isiliye money transfer, balance enquiry, D register adi ke liye alag-alag SBI USSD Code prayog kiya jata hai, jo is prakar hai:

1. D Register

User ID aur *595# darj karne ke baad Answer dabana hai, iske baad Option 6 chune, aur MPIN darj karein.

2. Prepaid Mobile Top-up

User ID aur *595# darj karne ke baad Answer dabayein, iske baad Option 3 chun kar tatha service provider ka naam darj karke Answer dabayein. Iske baad top-up darj karne ke baad Send button par click kar dena hai, phir MPIN darj karke bhej dena hai.

3. Money Transfer

User ID aur *595# darj karne ke baad Answer dabayein, iske baad Option 2 chun kar Payee Account Number daalkar register kar lena hai. Phir MPIN darj karke bhej dena hai.

Sbi Bank Balance Check Enquiry Number 2023 (Faq)

1. Sbi Bank Balance Enquiry Number Kya Hai?

State Bank of India ka bank balance jaanne ke liye aap toll-free number 9223766666 par call kar sakte hain. Iske alawa aap Customer Care Number: 1800-1122-11 / 1800-425-3800 par sampark kar sakte hain.

2. Sms Dwara Sbi Bank Balance Check Karne Ki Prakriya Kya Hai?

SMS dwara SBI Balance Enquiry karne ke liye apne registered mobile number se “BAL” likhkar 9223766666 par bhej dena hai.

3. Sms Dwara Sbi Mini Statement Kaise Check Karein?

SMS dwara SBI Mini Statement check karne ke liye aapko apne registered mobile number se “MSTMT” likhkar 9223866666 par bhej dena hai.

4. Sbi Quick Kis Bank Khataon Ke Liye Prayog Kiya Jata Hai?

Nakad credit khata, overdraft khata, bachat khata, chalu khata ke liye hi SBI Quick ka upyog kiya jata hai.

5. Bharatiya State Bank Mein Paisa Kaise Check Karein?

Bharatiya State Bank apne grahakon ke liye khate ka balance check karne ke liye mobile number 92237-66666 jaari kiya hai, jis par koi bhi vyakti apne registered mobile number se missed call maar kar Bharatiya State Bank ka paisa check kar sakta hai.

Nishkarsh

Dosto, is article mein hamne Bharatiya State Bank khata ka balance kaise check karein | State Bank of India Account Balance Kaise Check Kare in sabhi ke vishay mein vistaar se batane ka prayas kiya hai. Agar yah article aap sabhi ko pasand aaye to please comment karke jarur batayega.

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *